Itvaar ki woh dophar

Itvaar ki woh dophar
Aur bimaari ka doosra din
Main thande sofe par
Fhir bhi baitha raha
Aakhir tum bhi poochoge kyun?

Kyunki mujh main
Himmat baaki nahi thi
Andar kamre mai
Jaakar letne ki
Dobara fhir sone ki

Bahar dhoop jaa chuki thi
Sardi ki dhoop
Rahegi bhi kab tak?

Television chal raha tha
Jise main
Idiot box kahun bhi
Toh ab galat hoga

Itvaar ki dophar ab
Halke Halke shaam main
Tabdeel hoti jaa rhi hai
Mera irada bahar jaane ka bhi
Kamzor hota jaa raha hai

Rumaal main khasta hua main
Apne bahar jaane ka khayal daba deta hun

Shayad kisi aur
Itvaar roz
Fhir jaunga bahar
Shayad jab tabyat theek
Aur bimaari door hogi

Itvaar ki woh dophar
Aur bimaari ka doosra din….

4 thoughts on “Itvaar ki woh dophar”

Go ahead! Type

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Twitter picture

You are commenting using your Twitter account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s