Tea Cup- Short story (hindi)

I came to the blog with the determination to write something and then I checked my last post. Guess what, it was on 20th of August, exactly a month ago. In that very post, I had mentioned about writing more frequently which I failed to do. A lot of reasons but let’s not get into that.

I am sharing something I recently wrote, it is in Hindi and is in raw form (not edited). So go ahead, read it and let me know what you think. (Source for photo)

pexels-photo-41135.jpeg

 

Aadha piya hua chai ka woh cup, mez par rakha tha, chai toh behraal thandi ho chuki thi lekin uska abhi tak koi pata nahi tha. Neeche se achanak kisine awaz lagai thi toh woh daudta hua chala gaya tha. Mujhe lagaa koi khaas azeez aaya hoga aur yahi sochte sochte mujhe kaafi waqt ho gaya lekin koi nahi aaya. Mann mai khayal sa aaya ki uth kar chala jaata hun lekin fhir yaad aaya ki ghar khali tha aur is tarah ghar khula chod jaana theek nahi hoga toh main wapis baith gaya.

Mann behlane ke liye kuch toh karna tha toh waha padhe akhbar ko lekar maine saalo baad khabre padhna shru kiya aur keval istehaar dekh kar woh bhi mez par patak diya. Akhbar se adhi chai ka cup gir gaya aur poori mez par chai fhail gayi. Maine socha lo, yahi baaki tha and yahi soch kar main safai main lag gaya. Itni hi der main ek mohtarma zeene se upar aagayi aur boli Chacha jaan ghar hai kya, maine bola nahi woh nahi hai aap batae kya kaam. Woh thodi der ruki aur fhir boli, aap hai kaun, pehle toh yaha nahi dekha. Chacha jaan ne yeh ghar bech toh nahi diya?
Jispar maine jaldi se kaha arre nahi chacha jaan gaye hue hai bahar main unke bete ka dost hun. Paan chabati hui woh mud kar wapis zeene se utar gayi. Utarte utarte boli ki unse kehdena ki Sakeena ayi thi. Maine zehen main dobara naam dohraha jisse ki main bhool na jaun.

Mujhe baithe hue kuch adha ghanta hua hoga aur ab mere intezaar ki intehaan aage badh chuki thi. Mujhe apne dost par behisaab gussa aa raha tha par main yeh bhi soch raha tha ki kuch galat na hua ho. Thodi der main andar ek kamre main rakhe telephone ki ghanti baji toh main uthane ke lye gaya. Phone uthaya toh……..

 

29 thoughts on “Tea Cup- Short story (hindi)”

  1. Is it to be continued? Phone uthaya toh kya hua? And dost kb vaps aaya 😀 or jb aaya toh aapko kitna gussa aaya ?
    You left so many questions answered :p.

    Liked by 2 people

  2. This post is just so amazing.. So beautifully written.. You’ve left me blank and there are so many questions in my head.

    Liked by 2 people

  3. ​खयालों के समंदर में गोते लगाना

    ढूंढकर फिर यादों की मोती निकालना 

    और उन लम्हों को ज़हन में दोहराना ….
    कभी-कभी अच्छा लगता है ! 

    – अनूप राय

    Liked by 1 person

Go ahead! Type

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Twitter picture

You are commenting using your Twitter account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s